top

Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanwaar lun

13
Language :
English

Abhi is taraf na nigaah kar main ghazal ki palken sanwaar lun
Mira lafz lafz ho aina tujhe aine me in utar lun

Main tamaam din ka thaka hua Tu tamaam shab ka jaga hua
Zara thehr ja isi mod par tere saath shaam guzaar lun

Agar aasman ki numaishon mein mujhe bhi izne qyam ho
To main motiyon ki dukan se teri baliyan tire haar lun

Kahin aur bant de shohratein kahin aur bakhsh de izzatein
Mire paas hai mira aina main kabhi na gard-o-ghubaar lun

Kai ajnabi teri raah mein mire paas se yun guzar gaye
Jinhe dekhkar ye tadap hui tira naam Ie ke pukaar lun

Note: By posting your comments here you agree to the terms and conditions of www.bashirbadr.com
  • http://twitter.com/SUNDARDUTTA SUNDAR DUTTA

        ” Kai ajnabi teri raah mein mire paas se yun guzar gaye / Jinhe dekhkar ye tadap hui tira naam leke pukar lun “- Bashir Badr

  • LAVKUSH VERMA

    MIL GYA JISKI MUJHAKO SALLON SE TALASH THI.
    THANX

  • Lavkush verma

    wah thanx 

blog comments powered by Disqus
bottom