top

Agar talaash karun koi mil hi jayega

13
Language :
English


Agar talaash karun koi mil hi jayega
Magar tumhari tarah kaun mujhko chahega

Tumhen zaroor koi chahaton se dekhega
Magar wo aankhen hamaari kahan se layega

Na jane kab tire dil par nayi si dastak ho
Makaan khali hua hai to koi ayega

Main apni raah mein deewar ban key baitha hun
Agar wo aaya to kis raaste se ayega

Tumhare saath ye mausam farishton jaisa hai
Tumhare baad ye mausam bahut sataayega

Note: By posting your comments here you agree to the terms and conditions of www.bashirbadr.com
  • M Nadeem

    i like it very much

  • Zeenat Ahmed

    Agar talash karoon to koi mil hi jayega………….. kuchh log zindagi bhar ki talash ke baad bhi nahin milte…..iss ghazal ka har lafz mere dil mein utar jata hai…

  • Mawadat Hussain

    zawal ya ka taray sath nea !!
    kamal ya k jee rahay ha hum!!

blog comments powered by Disqus
bottom