top

Doosron ko hamari sazayen na de

13
Language :
English

Doosron ko hamari sazayen na de
Chandni raat ko badduaen na de

Phool se ashiqi ka hunar seekh Ie
Titliyan khud rukengi sadayen na de

Sab gunahon ka iqrar karne Iagen
Is qadar khubsoorat sazaaen na de

Motiyon ko chhupa sepiyon ki tarah
Bewafaon ko apni wafaayen na de

Main bikhar jaunga Ansuon ki tarah
Is qadar pyar se badduaen na de

bottom