top

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta

13
Language :
English

Parakhna mat parakhne mein koi apna nahin rahta
Kisi bhi aine mein der tak chehra nahin rahta

Bade logon se milne mein hamesha fasila rakhna
Jahan darya samandar se mila darya nahin rahta

Hazaron sher mere so gaye kaghaz ki qabron mein
Ajab maan hun koi bachcha mera zinda nahin rahta

Mohabbateikkhushboohai hameshasaathchaltihai
Koi insaan tanhai mein bhi tanha nahin rahta

Tumhara shehr to bilkul naye andaz wala hai
Hamare shehr mein bhi koi hamsa nahin rahta

Note: By posting your comments here you agree to the terms and conditions of www.bashirbadr.com
  • Arshad

    Koi badal hare mausam ka fir elaan karta haikhizan ke baag me jab ek bhi patta nahni rahta

blog comments powered by Disqus
bottom