Mati ki kachchi gagar ko kya khona kya pana, baba
13Mati ki kachchi gagar ko kya khona kya pana, baba
Mati ko mati rahna hai mati mein mil jana, baba
Ham kya janen deewaaron se kaise dhoop utarti hogi
Raat rahe bahar jana hai raat gaye ghar aana, baba
lis lakdi ko andar andar deemak bilkul chaat chuki ho
Us ko oopar se chamkana raakh pe dhoop jamana, baba
Chhat ke ooper baadal barse, chhat key neche apni aankhen
Tan ki is geeli mitti ko ghul ghul key bah jana, baba
Pyar ki gahri phunkaron se sara badan aakash hua hai
Doodh pilana, tan daswana, hai dastoor purana, baba
In oonche shehron mein paidal sirf dehati he chalte hein
Ham ko baazaron se ek din kandhe par Ie jana, baba
Paani ke ham jhoote moti palkon par kaise ruk jayen
Naddi ko darya, darya ko sagar se mil jana, baba
Dhoop naye bel bottam pahne sadkon ki kashti par taire
Raakh ka kurta, dhool ki lungi, apna bhes purana baba
-
http://www.facebook.com/people/Santosh-Rastogi/100001313027485 Santosh Rastogi
-
Anirudhpatrawal